Abki bar Trump Sarkar!
Pm modi jab 2019 mein US ke daure par gye the tab unhone bola tha ‘Abki bar Trump sarkar’.
Tabhi se PM Modi aur Donald Trump ki dosti dekhi ja rahi thi wo bhi kafi majboot dosti lkin akhir aisa kya hua ki is dosti me drar padne lagi hai.
Pehle Badhaya 25% ab sidhe 50% Tariff ki Ghosna
Jaisa ki abhi tak kal tak hum logo ko ye sunne mein aa raha tha ki President Trump ne sirf 25% Bharat pe Tariff ki ghosna ki thi ab use badha kar 50% tak kar di hai , Isiliye shuru me 25% Tariff ko ‘sirf’ kehna pada.
Halaki 50% ki tariff sirf kuch hi chizo par hai lkin yhi tariff pehle bahut hi kam thi isliye aaj itni badhi tariff se Bharat pareshan hai.
Halaki dekha jaye to jabse is bar President Trump ki sarkar USA me bani hai tabse Bharat ‘Abki bar Trump Sarkar ke sath , Abki bar Bharat ko Mar’ bhi hai. Sochiye jaha pehle 15% Tariff adhiktam hua karta tha ab wahi 50% hai.
Naye Tariff 27 August 2025 se honge lagu
Wese to 50% Tariff 27 August 2025 se lagu hoga lkin aaj yani 7 August 2025 se hi 25% Tariff chalu ho gya hai. Naye tariff ke wajah se American’s Market me Bhartiya saman mehenge ho jaayenge.
Acha Tariff badhne se ek bat aur hui hai ki 50% tariif badhne ke wajah se Business me kam se kam 30% se 40% ki kami jarur hogi. Halaki inke Tariff badhane se hame koi nukashan nahi hua kyuki ab Bharat aur desho se bhi Deal Karna shuru karega, aur apne Business ko dunia ke anay desho me bhi pahuchayega.
7 August se Laagu hone wale Tariff ka kis Sector pe Jayda Asar
1. Electronics
Dekha Jaye to Bharat America ka sabse bada utpaad vikreta mana jata hai. Bharat ne 2024 mein America ko 14 Billion Dollar (kareeb 1.23 laakh karod rupaye) ke Electronics ka niryat kiya tha. Isme sabse bada yogdan iPhone ka tha kyuki bhartiya mool ke logo ko iPhone bhut pasand hai.
April mein jab President Trump ne pehli baar Tariff ka announcement kiyaa tha usse pehle Electronics par Average 0.41% ka tariff lagta tha.
Tariff ke Baad
100 Dollar ka Smartphone kareeb 125 Dollar mein padega.
Halaki abhi Electronics ko chhooṭ hai. Jab tak America ke Section 232 ke tehet Tariff kii ghoshaṇaa nahiin hotii tab tak Apple, Samsung jaise Smartphones ke niryaat par koi asar nahi padega.
2. Engineering Goods
Engineering goods jiska to bhut jayda niryat hai, Bharat ne 2024 mein 19.16 Billion Dollar (Kareeb 1.68 laakh Crore Rupees) ke Engineering Goods niryaat kiye. Aap soch sakte kitni badi niryat ki value hai. Acha Isme Steel ke Products, Machinery, Automotive Parts, Eletronic Machinery, aur anay Audhogik Samaan aur aise kai upkaran shamil hai.
Tariff ke Baad
Pelhe jo samaan 100 dollar ka ho wo 115 dollar me milta tha kyuki tariff matr 5% + 10% = 15% tha, lkin naye tariff ke bad 5% + 25% = 30% ho gya hai yani 100 dollar ka saman ab 130 dollar ka ho gya hai.
3. Gems aur Jewellery
Wahi agr bat kare America se hone wale jewelley ke business ki to 2024 me hi Bharat se kareeb 9.94 Billion (kareeb 87 hazar crore rupye) Gems aur Jewelley ka business hua tha yani bharat ne 2024 me 87 hazar crore ke gems aur jewelley america ko export kiye the, sochiye kitna bada business hai.
Tariff ke Baad
Agar dekha jaye itne bade business pe kya asar pdega to pehle ki tariff kuch is prakar thi:
Jewellery (6%+10%=16%), Diamond (0%+10%=10%)
Acha isme ek bat aur hai ki ye April 2025 mein hi naye tariff ki ghosna hui uske bad ki value hai, jo ki badh ke 10%, yani jewellery aur diamond par sidhe sidhe 10% ka tax lga diya gya tha.
Jiske wajah se jo jewellery 100 dollar mein bikti thi wo 116 dollar mein bikne lgi.
Aur ab nye tariff ke bad to aur ho gya jaise ab to sidhe sidhe 25 % badha diya gaya hai yani 116 dollar me bikne wali jewellery 125 dollar me bikegi, jaha april se pehle itna tax nahi tha whi achanak se itna jyada tariff.
Aisi hi halat Textiles, Automobile aur Pharma ka hai.
Bat kare Textiles ki to pehle uspe bhi april 2025 mein 10% Tariff ailan se pehle Textiles par 10-15% Tax lagta tha. Bharat ne 2024 mein America ko 10 Billion Dollar, yani kareeb 87 hazar Crore ke Textiles export kiye the. Isme readymade garments se lekar Coton Yarn aur carpet shamil hai. Ab tariff ke baad 10%+25%=35% ka tariff lgega , yani jo kapda 100 dollar ka april 2025 me tariff ke bad 110 dollar ka ho gya tha ab uski keemat badh k 135 dollar ki ho gyi.
Aur wahi Automobile ki bat kare to President Trump ne pehle hi may 2025 mein 25% ka tariff kuch auto parts pe lga diya tha jisse kuch hi company prabhavit hongi jaise TATA Motors, Bharat Forge, Samvardhan Madarsan.
Pharmaceutical ko le ke President trump ki Dhamki
President Trump ne ye sare tariff ke baad Pharmaceutical ko lekar to dhamki hi de dali ki ane wale time me Pharmaceutical ki tariff ko 250% tak badhaya ja sakta hai. Wahi Business ki bat kare to 2024 mein Bharat ne America ko 10.52 Billion Dollar yani, kareeb 92 hazar crore rupaye ki medicines ka niryaat kiya tha. abhi maujuda samay me to koi tariff nahi hai, lkin is dhamki ke bad to kuch bhi possible lgta hai.
Bharat Ka kadam
- Sabse pehle to Bharat-America Bilateral Trade agreements ko teji se pura karana.
- Baajaar ko majboot karane aur naye Brands viksit karne par jor dena.
- Europe (UK, Germany) aur Asian (Singapore, Malaysia) sab jagah Engineering Goods ki Mang badh rahi hai, Bharat in bazaron mein hissedari badha sakta hai.
- Domestic Brands aur Value added Products par dhyan dena.
Conclusion
PM Modi ne kya bola?
Thursday ko PM modi ne kaha mai Bharat ke apne kishano, machuaro, pashupalak yani jo gay bhains jaise janwar palte hai, unke hito ke sath kabhi samjhauta nahi krunga.
Aur isi baat se saaf hota hai PM Modi aur President Trump ki dosti mein Drar pad chuki hai.
FAQ’s
1. PM Modi ne “Abki Baar Trump Sarkar” kab bola tha?
PM Modi ne yeh slogan 2019 mein Houston, USA ke ‘Howdy Modi’ event mein kaha tha jab Donald Trump US President the.
2. Trump ne Bharat par naye Tariffs kab se lagu kiye hain?
25% Tariff 7 August 2025 se lagu ho gaya hai, aur 50% Tariff 27 August 2025 se lagu hoga.
3. Naye Tariff ka sabse zyada asar kis sector par pada hai?
Electronics, Engineering Goods, Gems & Jewellery, Textiles, Automobiles aur Pharma sectors par sabse zyada asar pada hai.
4. Electronics export par kya impact hoga?
2024 mein Bharat ne US ko $14 Billion ke electronics export kiye the. Ab tariff ke baad smartphone ki price $100 se badh kar $125 ho sakti hai.
5. Engineering goods ka kya nuksan hua?
Tariff 15% se badh kar 30% ho gaya hai. Isse 100 dollar ka saman ab 130 dollar mein milega, jiska sidha asar export volume par padega.
6. Jewellery aur Diamond export par kya badlav aaya hai?
Jewellery pe ab 25% additional tariff laga diya gaya hai. 100 dollar ki jewellery ab 125 dollar mein bikne lagegi.
7. Textiles sector kitna prabhavit hua hai?
Pehle 10-15% tax lagta tha. Ab naye 35% tariff se kapda 135 dollar ka ho gaya hai, pehle jo 100 dollar mein bika karta tha.
8. Pharma sector ko Trump ne kya dhamki di hai?
President Trump ne kaha ki Pharma exports par tariff 250% tak badhaya ja sakta hai, jo Bharat ke liye ek badi chinta hai.
9. Kya Bharat ne ab naye countries ke saath deal karna shuru kar diya hai?
Haan, Bharat ab anya desho ke saath trade ko diversify karne ki koshish kar raha hai taaki America par depend na rehna pade.
10. PM Modi ka is mudde par kya kehna hai?
PM Modi ne saaf kaha hai ki woh Bharat ke kisano, machuaro aur pashupalako ke hiton ke saath kabhi samjhauta nahi karenge.
Aise hi politics me agar ruchi hai to aap ye book jarur padh sakte hai isse apko bharat ke aur global political history ke bare me jrur knowledge milegi.
Niche diye gye link par click kre aur paye book bilkul bhut hi kam daam me.